gmail me 25 mb se jyada file size ko kaise beje
to dosto gmail ak bahut hi puraani aur lokpriya service hai , jo ki aajkal har vakti ki pasand ban gyi hai.agar dosto aapka kam bi internet se hota hoga to aapko email ka mahtav jaroor pta hoga. aap email ke prayog se kai data file jais photo, video ya phir koi messege hi bejte honge ,ya recieve karte honge.lakin dosto aapne dekha hi hoga ki kai bar hum jab kisi ko photo ya video send karte hai to wo nhi hoti kyoki wo 25 mb se jyada size ki ho jati hai.yani ki aap gmail me ak sath 25 mb se jyada data nhi bej pate ho, aur aap ko phir wo data ak-ak karke bejna hota hai.nhi to aap kisi bi photo ya video ko send nhi kar pate ho.lakin dosto aaj hum aapko batayenge ki aap gmail id ki madad se 25 mb se jyada ki file ko kaise beje.how to send more than 25mb in email.ya gmail.
dosto agar aap gmail me 25 mb se jyada ki file ko bejna chate ho to google ne iske liye ak cloud storage banaya hai jiska name google drive hai.iske andar aap 15 gb tak ke data ko store kar sakte ho aur ha aap iske sath hi email me 25 mb se jyada file ko bi send kar sakte ho to dosto bina aapka time waste kiye seekte hai.ki aap google drive ki madad se email me 25mb ki file ko kaise beje ya phir send kare....
Gmail me 25mb se jyada file size ko kaise beje...
1. compose par click kare
aap gmail .com par jakar sabse pahle gmail id par login kare.iske bad jab bi kisi ko email bejna chao to aapko compose ke box par click karna hota hai .iske upar click karne se ye ak email box kholta hai.
2.google drive ke icon par click kare.
to dosto ab aapne compose ke box par click kar hi liya hoga aur aapke paas ak email box khul gya hoga jha se email beja jata hai.ab aapko 25mb se kam file ko bejna hai to aap attach file par click kare.aur agar aap 25mb se jyada ki file size ko bejna chate ho to aapko google drive ke icon par click karna hoga.joki aap ko emoji ka left side me dikh rha hoga .
3.ab aapko upload karna hai.
ab aapko aapki file ko upload karna hoga iske liye aapko google drive ke option par click karna hai.iske bad selected files from your computer par click karna hai aur iske bad aapko apni file ko upload karna hai.
- upload par click karna hai.
- selected filed from your computer par click karna hai .
- ab aapko apne computer ya mobile se file ko select karna hai .
- aur phir dubara upload par click karna hai.
4.ab send par click kare
ab jaise hi aapki file upload ho jati hai to aapko send par click karna hai.phir dubara share and send par click karna hai .ab aapka file send ho jayega jis kisi ko bi aap bejna chate ho.
- send par click kare
- anyone with the link ko select kare.
- share &send par click kare.
No comments:
Post a Comment