Saturday, 1 December 2018

vpn kya hai , iska use mobile aur computer me kaise kare


vpn kya hai , mobile aur computer me vpn kaise use karte hai.

internet me bahut si aisi website hai jo ki bahut si countrys me block hai . in websito ko government block karti hai .ab government ko pta nhi hai ki aap konsi website ka use karte hai ,wo to block kar deti hai , lakin aap un websito ko access karna chate ho to aapko vpn ki jaroorat hogi .aap vpn ki help se kisi bi website ko aasani se access  kar pate hai .wo bhi ghar bate .to bus aaj ke is post me hum aapko vpn yaani ki virtual private network ka bare me batayenge ki aap iska use karke aasani se apna ip address change kar sakte hai. aur kisi bi block website ko aasani se access kar sakte hai .

vpn kya hai 
vpn ka pura nam  virtual private network hota hai.ye ak tarike ka private network hota hai jo user ko is duniya me kahi bhi aur kabhi bhi is network ko access karne ki anumati deta hai. ye network aapko ak username , ak ip address aur ak paasword deta hai.jiski help se aap duniya me kahi bhi kisi bhi website ko access kar sakte hai.

vpn network ka use jyadhatar badhi badhi company ke  website jaise ki educational website,government website etc.me use kiya jata hai,kyoki in sites me bahut hi mahatvpuran  data hota hai jo ki kbhi bhi hacker chura sakte hai.isliye vpn ka use hota hai , vpn kisi bhi data ko gupt tarike se bejta hai.jisse kisi bhi hacker ko pta nhi lag pata aur wo data secure ho jata hai.
vpn aapko do tarike se milta hai ak to free aur dusra aap ise paise dekar bhi is network ko kharid sakte hai.agar aap free vpn use karte ho to aapko kuch khamiya mil sakti hai .aur agar aap vpn ko kharidte ho to aapko bahut se ficture bhi mil jayenge .
free vpn use karne ke fayde aur nukshaan
  • agar aap kisi bhi block site ko access karna chate ho to aap free vpn ka use aasani se kar sakte ho .
  • free vpn me aapko kuch bhi paisa nhi sdena hota yani ki aap ise lifetime use kar sakte ho.
  • agar aapka data bahut jaroori hai jo ki secure rahna chaiye to aap free vpn ka use na kare kyoki free vpn provide karne wale aapke data ko dusre logo ke sath share kar sakte hai kuch profit ke liye
paid vpn ke fayde 
  • vpn paid service me aapko bahut sare ficture milenge
  • aapka data puri tarah secure rahega
  • paid vpn service wale aapke data ko kisi ka sath share nhi kar sakte hai.
vpn computer aur mobile dono me use kiye jate hai to  hum aapko dono me use karna bta rahe hai..
computer me vpn 
  1. sabse pahle aapko apne computer me ak hid me extention instaal karna hoga jise aap link par click karke install kar le hide me extention . ab aap jaise hi is link par click karenge to aapko neehe diye gye screenshot ka jaisa page khulega aapko yha par add to chrome  par click karke ise install karna hai.

[caption id="a hide.me vpn ka use[/caption]
2.ab aap ise jaise hi instal karnge to ye aapko apne browser ke search box me mil jayege jaisa ki niche dikhya gya hai.ise aap right click karke open kijiye phir  isme aapko setting par click karna hai aur apni language select kare . phir setting se bahar aa jaye . ab aapko apni location choose karni hai . aap automatic ko chodkar kisi bhi country ko choose kar le. ab aapko ise on karna hoga . aap jaise hi ise on karenge ye blocked websito ko access kar lega .aur aap iska use aasaani se kar sakte ho.
note is vpn ka use karte time internet jaroori hai .

mobile me vpn ka use
ab aap mobile me bhi vpn use karna chate ho to ye bhi bahut hi aasan hai,bus aapko play store me jana hai aur wha par free vpn search karna hai aapko wha par bahut sare vpn mil jayenge .but me aapko aisi application ka bare me bataunga jo ki bilkul free aur safe hai . ise use karne ke liye aapko kisi bhi username ya paasword ki jaroorat nhi hai , ye app automatic hi sab setting kar lega .
  1. sabse pahle apne mobile me touchvpn name ke app ko install kare.
  2. ise install karne ke baad aapko ise open karna hai aur aapko location select karni hai , ab aapko connect par click karna hai jaise hi aap connect par click karoge ye vpn aapke mobile me activate ho jayega .] 
to dosto aap is tarah  bahut hi saral tarike se vpn ka use kar sakte ho me aasha karta hu ki aapko post pasand aayi hogi .aur aapke koi sawaal ho to comment karke jaroor bataye .

No comments:

Post a Comment