Saturday, 24 November 2018

battery life kais badhaye android mobile me in hindi .how to increase battery life on android phone tips in hindi.

battery life kais badhaye android mobile me

to dosto aaj hum battery life save karne ki kuch tips ke bare me janenge . hum aaj jo tips denge un ki madad se aap apni android battery ki battery ko save karke mobile ko long time tak enjoy kar payenge..dosto aaj tak mobile ya smartphone duniya ka sabse anokha avishkar ban gya hai , aaj kal har vakti ya person chahe wo chota ho ya bda ho wo smartphone rakhte hai ab vo bat ye hai ki kuch log facebook ke liye rakhte hai to kuch log video dekhne ke liye ya phir online game khelne ka liye but jab hum ye sab kam karte hai aur jab achaanak se battery khatam ho jati hai to dimag khraab ho jat hai ,to bus dosto aapki ye problem ab hamesha ki tarh solve hone wali hai,.todosto aaj hum jo tips denge unse aap apni baatery life bda payenge isliye is article ko dhyaan se pade . aur battery life ko enjoy kare.how to increase battery life on android phone tips in hindi.
dosto battery bachaane ke bahut se upaya hai but me aapko kuch jaroori tips hi bataunga.jisse aap apni battery life ko bda sakte hai dosto jyada battery hamare mobile ki setting ki wajah se khatm hoti hai.[mobile battery life saving tips]
to dosto ab dekh hi lete hai.

1. lokeshan bluetooth , wifi ko band kare..

aajkal log mobile me bahut se function ka istemaal nhi karte but un function ko on rakhte hai, jo aapki battery life ko kam kar deta hai..aapne dekha hoga ki aapke samrtphone ki battery jaldi hi khatam ho jati hai.kyoki dosto jab aap bluetooth ka istemaal karte hai tab use istemaal karne ka doran battery jald khatam hoti hai lekin dosto jab aapko bluetooth se kuch kam nhi hai to please use band kar de. aur ha dosto isi tarike se aap wifi ko bi use karne ke bad off karna bhul jate hai jisse aapki battery life kam ho jati hai isliye please aap in option ko off kar de agar aap aisa karte hai to me garanti se kahta hu ki aap apni battery ki life thodi bahut to bacha hi loge ..

iske atirikat kahi se log to gps service ko bi on rakhte hai , location ko off karna bhul jate hai dosto aap jante hi honge ki hamare kai apps lhamari location ka istemaal karte hai jaise ki maps ,etc...to dosto ye cheej aapke mobile data aur battery ko khatam kar deti hai to dosto aap apni in sabhi service ya option ko off kar deve..

2.mobile ke background data ko band kare.
to dosto shayad hi aap jante honge ki  aapke mobile me bahut se apps run karte hai ya phir ye kahe to chalte rahte hai jisse aapka mobile data to kharch hota hai but mobile data kharch hone ki wajah se aapki battery bi kam ho jati hai .
dosto aapne dekha hoga ki jab aap internet par work karte ho to battery jaldi khatam hoti hai lekin jab without internet work karte hai tab battery kam khatam hoti hai but aisa kyu? aisa isliye dosto kyoki bahut se app aapke background me run karte rahte hai jisse aapke battery khatam ho jati hai,,to dosto aise me aap chate hai ki aapki battery life bade to aapko is setting ko band karna padega .is tarike ko hum background data restrict kahte hai.
to bus aapko kuch step follow karne hai jo humne niche diye hai 
  • mobile ki setting me jaye..
  • ab aapko data usage par click karna hai..
  • ab background data par click kare..
  • ab aap jis app ko band karna chte hai to use off ka de ve..
3.play store me auto update band kare
mobile ki battery life ko save karne ka sabse bada tips hai ki aap apne mobile ke play store me jake auto update apps ko band kar de kyoki dosto aapne dekha hoga ki jab aap apna data on karte hai ya phir kisi wifi se connect hote hai to aapka play store aapki permission ke bina hi apps ko update karna start kar dta hai jisse aapka mobile data to kharch hota hi hai but aapki battery life bi kam ho jati hai..isse rokhne ke liye aapko kuch tips batayi hai jinhe follow kare
  • play store open kare.
  • ab menu par click kare 
  • ab aapko setting par click karna hai..
  • ab aapko auto updates par click karna hai..
  • ab aapko do not updates ko chunana hai..

mobile ki battery life ko save karne ke liye ye galtiya kabhi bi na kare..

akshar kai log mobile ki battery ko bachane ke liye kai sari tips follow karte hai jinse wo apna hi nukshaan kar lete hai to dosto aaj hum aapko wo galtiya batane wale hai ..taki aap wo galti kabhi bi na kare battery life 

*  battery life ko save karne ke liye kabhi bi battery sever apps ko istemaal na kare kyoki inse aapke mobile ko nukshaan hota hai ..ye battrey sever apps aapke background data ko puri tarh se band kar dete hai aur khud ka nhi karte jisse aapko bar bar ads dikhte hai jisse aap developer ko to kamaaai hoti hai but aapko nukshaan.. to bhailog me to aapse yehi kahna chaunga ki aap kisi bi prkar ke battery sever app ko istemaal na kare
*background data ko puri tarah se band na kare kyoki aapke is kadam se aapke sabhi aaps ka data band ho jayega aur aapko email , facebook, twitter, youtube ka notification nhi mil payega ..to bus aaj ke liye itna hi .......


No comments:

Post a Comment