google+ band hone ki wajah kya
google+ band hona wala hai , aap chokiya mat ye sach hai ise jhutlaya nhi
ja sakta lakin ab aapke mind me aa rha hoga ki aisa kyo to dosto aaj ke is post
me hum isi bat par batchit karne wale hai . google+ band hone ki wajah kya hai.
main reason
google ne kha hai ki google+ logo ki help karne ka liye banaya gya tha but
log is par visit hi nhi karte , isliye ise band karna pad rha hai ,ha dosto
yahi iska main reason hai , but aur bhi baht se karan hai jinko hum niche bta
rahe hai.
1. bad design.
dosto har social media par apna alag design hota hai , jaise ki facebook ka
alag to twitter ka alag ,lakin google+ ka design boring hai , ism koi interest
hi nhi aata .jis tarah kisi social site ka addiction ho jata hai waise hi log
isse dur ja rahe hai.
2. failed to facebook
google ne google+ ki service facebook ko harane ka liye shru ki thi , lakin
wo isme kamyab nhi ho paya . kyoki aap khud jante hai ki aap facebook ka jyadha
istemaal karte hai ya phir google+ ka ,aapko pta lag gya hoga aur aapka answer hoga facebook ,ab jab google
ka makasad kamyab nhi hua tho band to karna padega na.
3.failed to new .
google+ ki ye bhi ak khami hai ki ye kuch bhi nya nhi deti jis tarike se
facebook, twitter nye fictures lakar aate hai ye aisa nhi karte , facebook wale
aapki privacy ko dhyaan me rakhkar naye update karte hai jisse aapko beleive
bna rahta hai ,lakin google+ koi bhi update nhi lakare aata hai , jisse logo ka
intrest khatam ho jata hai.
4.overconfidence
google duniya ka sabse bada search engine hai , isliye usko lagta hai ki
log uske paas aa jayenge iske liye usne google+ banaya , usko lagta tha ki uski
is kamyabhi ka karan wo kahi par success ho saktha hai jo ki uski sabse badi
galti thi, koi product kitna bhi bada ban jaye lakin log uski quality ko dekkar
hi kharidte hai.
5.no users
google + par ab user kam ho gye hai jab ye nya tha to is par kuch user the
lakin ab wo bhi nhi rahe jiske karan ye
piche ho gaya . aaj ye facebook, twitter se bhi piche rah gya hai aur to jo
instagram abhi aaya hi tha usne bhi isko piche chod diya hai . isliye ye bhi
iska main karan hai .
6. hack google+
google ne kha hai ki google+ par kai logo ka data chori ho rha hai , hacker
isko hack kar rahe hai jiske karan google isko band kar rha hai.
to dosto ye the kuch main karan google+ ko band karne ka ,lakin dosto jab
google isko band kar rha hai to wo jaroor kuch nya laker aayega , pahle se
accha jisse shayad log pasand kare,
by the way post acchi lagi to comment kare aur aapke kuch sawaal ho to
humse comment me puche hum jaroor batayenge, post ko share karna na bhule .
No comments:
Post a Comment