aadhar card ko mobile number se link kaise kare
aaj ke is online yug me aadhaar card bahut hi jaroori ho gya hai aaj kal koi nya sim card lene jao to aadhar card ya phir bank account me aadhar card jaroori hai aur to train me bi id proof yani ki aapka aadhar card aapke pas hona jaroori hai.lakin ab aapko apne aadhar card ko mobile number se jodna jaroori kar diya hai . ab aapko apne mobile par company ka call ya msg aa rhe honge .ki aap chahe koisi bhi sim card use kare chahe wo jio , airtel, idea, vodafone kisi bhi company ka sim ho use aadhar se link karna jaroori hai. to aap bhi apne mobile number ko aadhar se jodna chate ho to aapko niche di gi tips follow karni hai.how to link aadhar card with mobile in hindi .
aadhar card ko mobile se link karna
- aap jis bi mobile number ko link karna chahte ho to usse pahle 14546 number ko dial kare.
- ab aapse pucha jayega ki aap kha se hai yani ki aapki location kya hai . to aapko apni location ke anusaar button dabana hai.
- ab aapko aapka mobile number btaya jayega ab aapko 1 dabana hai.
- ab aapko apna aadhar card number enter karna hai phir ise confirm karne ke liye 1 dabana hai.
- ab aapko wo mobile number btaya jayega jo ki aapke aadhar card me add hai.aur phir aapke mobile par ak otp aayega.is otp ko bhrna hai aur mobile number ko verify karna hai.
ab jaise hi aapka aadhar mobile number se link hoga aapko message ke dawara bta diya jayega.
kaise pta kare ki mobile aadhar card se link ho gya
ab aapko kuch bi nhi karna hai , ab aapko 198 par call karna hai aur company se puchna hai ya phir 15-20 din ka wait karna hai. kyoki ye prakriya hone me time lagta hai .aapka mobile number jaise hi link hoga company aapko message kar degi ki aapka mobile number aadhar card se link ho gya hai
to dosto aapko ye post pasand aayi to comment karke jaroor bataye aur sahre jaroor kare..
ye bhi pade vpn kya hai iska use kaise kare
No comments:
Post a Comment